Jeena isi ka naam hai ...
Life ... Kabhi kabhi mere dil mein khayal ata hai .. ki .. ae zindagi tu hai kya?
kabhi to lagta hai ki kash ye safar chalta hi rahe aur kabhi tuti viran si zindagi har pal tadapti hai sisakti hai ghut ghut kar sanso ke pinjre se bahar jhankti hui intezar karti hai us pal ka jo ayega aur sanson ko bator kar le jayega.... kar jayega azad ... zindagi ko har khushi har gham se.. har ummid har sitam se..zindagi maine tujhe bahut karib se dekha hai .. mehsoos kiya hai..
nahi kiya tumne kabhi apna haal-e-dil bayan .. yakinan ye safar yu tanha mushkil raha hoga...wo pal jab tumne apne aane ki ahat di thi ... ek nanhi si jaan ka wajud lekar ke tumne sabko khushiyan di thi ... apni kilkariyon se roshan ki thi auron ki zindagi .... zindagi tune har roz ek nayi seher ki thi..
waqt ke panno mein yu lamhe darj hote gaye .. aur zindagi tune naye rangon ko apne daaman mein samet liya... kuch rang they un athkheliyon ke ... bekhauf tha wo alhad sa tera afsana jismein sarabor hota gya zamana ...fir zindagi tune liye mod apne safar mein ...
kuch sahi they aur kuch tujhe uljhate gaye ...
kuch mod dil jodte gaye aur kuch ... tujhe dil se todte gaye..
fir bhi salam hai tere jazbe ko ae zindagi ... tu chalti hi rahi.. chalti hi rahi..
aaj bhi har pal tera imtehan hai ... har pal tujhe har sans ka karz dena hai ..
fir bhi tu hansti hai apne har dard ko dabakar ...
fir bhi tu jiti hai har zakhm se ladkar...koi nahi dekh pata teri ankhon ke andhero mein wo ansu jo tanhai mein aj bhi tujhe bhiga jate hain ...
koi nahi jaan pata hai tera dard har muskan ke piche se jo zamane ko raas aati hai..
jab kal kaha tha kisi ne ki yunhi hanste raha karo.. acha lagta hai ...
tune aah si bharkar yahi socha tha ae zindagi ... hansti rahungi main yunhi sanam teri chahat ke liye.. khud khush na rahu na sahi ... hoga karam jo meri khudkhushi tumhe khush kar gayi kabhi...
Jiyo ... kyunki .. Jeena isi ka naam hai !!

Comments
Post a Comment
Your comment will keep adding flavor to my writings.